Baiman Tasawwur

 Baiman Tasawwur 

         -Alveera Hafeez 



Kuch alag ho tum,

Kuch zaruri bhi,

Tumhare bina adhuri hoo,

Or shayad puri bhi.


Aasman jo zameen ko de,

Wo kashish ho tum,

Jo mujhko dil ka ehsaas de,

Wo saazish ho tum.


Pata nhi tum ho kuch mere,

Ya ye bhi koi khwaab hai,

Ho skta hai ye mera tasawur ho,

Or tum kisi aur ke.


Par wo "kisi aur" ka tasawur bhi,

Mujhe khaufzada karta hai,

Ye sochne se zahan bhi,

Pata nahi kyu darta hai.


Socha bhut ki bhul jau tumhe,

Panahei tumhari inkaar kari,

Haa maine ye bhi socha ki,

Tum nhi ab mere.


Ye soch soch kar zulm bhi kiye,

Par phir tum khud wapas aa gye,

Meri dahliz par bhatakte-bhatakte,

Shayad tumhe bhi talaash thi meri.


Ya phir se ye mera koi, 

Baiman sa tasawur hai,

Ya phir ye qismat ka khel hai,

Shayad humara milna mukarrar hai.


Toh chalo jitna waqt mukarrar hai,

Utne waqt ke liye ye baiman tasawwur,

Shayad ye hi meri zindagi ki panah hai,

Or shayad aasmano mei bhi hum mukarrar hai.


Kya pata ye mere banaya aashiyana,

Kahi sach ho jaaye,

Kya pata ye sitaro se ki baatei,

Humara sach ho jaaye.

                           ************

Comments

Post a Comment

Popular posts this week