Yaad Aate Hai!

 Yaad Aate Hai!

         -Alveera Hafeez



Jab suno mai bansuri ki dhun,

Mujhe yaad aate ho Madhav tum,

Jab suno mai prem ki reet,

Mujhe yaad aate hai Vasudev ke geet.


Jab suno mai dhairya or nishtha,

Mujhe yaad aate hai Krishna ki shiksha,

Jab suno mai Radha Rani ka naam,

Mujhe yaad aata hai Kanha ka saath.

 

Jab dekhu mai makhan ko phisalta,

Mujhe yaad aati hai baal gopal ki chanchalta,

Jab dekhu mai ek naari ka apmaan,

Mujhe yaad aati hai Aditya ki Geeta ka gyan.


Jab koi kisi ko chal se harata hai,

Mujhe yaad aate hai Dwarkadheesh ka nyay,

Jab koi apne mitra ka samman karta hai,

Mujhe yaad aate hai Govinda or Sudama ke bakhan.


Wo Mahendra hai, Wo hai Narayan,

Wo hi Manohar hai, Wo hi Sarvjan,

Mere jeevan mei jisne ek nayi aasha ki jyoti jalayi,

Uss Vishvatma ko janmdin ki bahut bahut badhaii.

                     **************

Comments

Post a Comment

Popular posts this week