Mai Qaidi Hoo!

 Mai Qaidi Hoo!

      -Alveera Hafeez 



Mai qaidi hoo iss pinjre ki,

Ye qaid bahut anokhi hai,

Shane shaukat se bhari hui,

Fir bhi kitni jhooti hai.


Mai qaidi hoo iss manzar ki,

Ye manzar mera khwaab hai,

Mera jeene ka maqsad bematlab sa,

Fir bhi mera sawaab hai.


Mai qaidi hoo iss chamak ki,

Ye chamak jo sabko andha karti hai,

Pehle logo se dur karti,

Fir khud se dur kiya karti hai.


Mai qaidi hoo inn zanjeero ki,

Jo mujhko meri raah jaane nahi dete,

Mujhe khud ko khud se milne nhi dete,

Kisi or ko mujhse milane nhi dete.


Mai qaidi hoo apne har lamhe ki,

Jo lamhe mujhe khud se door krte rahe,

Gairo ko apna banane ke liye,

Apno se door karte rahe.


Mai qaidi hoo har zarre ki,

Jin zarro ne mujhe roka hai,

Wo raaste ki duriya hoo,

Ya halaato ne toka hai.


Mai har qaid se azaad hone ke liye,

Na jaane kin qaido mei pad gyi,

Kho diya har haal mei maine khudko,

Or wo muskurate-muskurate marr gyi.

                              ************

Comments

Post a Comment

Popular posts this week