Tum Kyu Sochte Ho?

 Tum kyu sochte ho?

          -Alveera Hafeez



Tum kyu sochte ho ki kuch kam ho tum?

Meri nazaro se dekho sabse buland ho tum.

Tum kyu sochte ho tumhare naseeb mei mohabbat nhi,

Meri nazro se dekho mere dil-e-muqaam mei awwal ho tum.


Tum kyu sochte ho ki zamana kya kahega?

Tumhari mohabbat jhutlayega ya tumko apnayega,

Apnane waale toh sharte nahi rakhte,

Meri nazar se dekho tumhari kamyaabi par wo itrayega.


Tum kyu sochte ho ki inn jazbaat ka mujhe ilm nhi?

Meri nazro se dekho mera ilm kitna purana hai,

Tum jitna bhi inkaar kar lo meri jaan,

Ye sab toh zamane se chupane ka bahana hai.


Tum kyu sochte ho ki mai tumse mohabbat nhi krti,

Meri nazro se dekho inn ishq k galiyo ko,

Kitni hi shiddat se sajayi hai maine ye mehfil,

Aao kabhi roshan karo meri beronak galiyo ko.


Tum kyu sochte ho ki tum tanha ho,

Meri nazro se dekho tum mere dil ke sarmaya ho,

Mere bejaan si zameen k liye ek khwaish ho,

Mera deen mera imaan ka mukammal thikana ho.


Tum mat socha karo ki tum kuch kam ho,

Kabhi socho toh meri nazro se dekho,

Tumko apne mukammal aqs milenge,

Aisi baato se tumhari aankhei na nam ho.


Tum mera jaha meri roshni ho,

Mukammal krte ho tum mere jaha ko,

Mujh jaisi musafir ko tumhari to talaash hai,

Taaki mai chalu tumhari raah ko.

                             ***************

Comments

Popular posts this week